Jagat Ke Rang Kya Dekhu - Krishna Bhajan

Krishna Bhajans
Jagat Ke Rang Kya Dekhun Tera Deedar Kafi Hai
Karun Main Pyaar Kis Kis Se Tera Ek Pyaar Kafi Hai

Nahin Chahie Ye Duniyaan Ke, Nirale Rang Dhang Mujhko -2
Nirale Rang Dhang Mujhko
Chali Jaaon Main Vrindavan, Tera Darbar Kafi Hai

Jagat Ke Rang Kya Dekhun Tera Deedar Kafi Hai
Karun Main Pyaar Kis Kis Se Tera Ek Pyaar Kafi Hai

Jagat Ke Saaj Baajon Se, Hue Hain Kaan Ab Bahre -2
Hue Hain Kaan Ab Bahre
Kahaan Jaake Sunoon Anhad, Teri Jhankaar Kafi Hai

Jagat Ke Rang Kya Dekhun Tera Deedar Kafi Hai
Karun Main Pyaar Kis Kis Se Tera Ek Pyaar Kafi Hai

Jagat Ki Jhoothi Raushani Se, Hain Aankhein Bhar Gayi Meri -2
Hain Aankhein Bhar Gayi Meri
Meri Aankhon Mein Ho Hardam, Tera Chamkaar Kafi Hai

Jagat Ke Rang Kya Dekhun Tera Deedar Kafi Hai
Karun Main Pyaar Kis Kis Se Tera Ek Pyaar Kafi Hai

Jagat Ke Rishtedaaronn Ne, Phailaya Jaal Maaya Ka -2
Phailaya Jaal Maaya Ka
Tere Santon Se Preeti Ho, Yahi Pariwar Kafi Hai