Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge - Krishna Bhajan

Krishna Bhajans
Kanhaiya-Kanhaiya Pukara Karenge
Lataon Mein Brij Ki Guzara Karenge,
Kanhaiya-Kanhaiya Pukara Karenge.

Kahin To Milenge, Woh Banke Bihari,
Unhi Ke Charan Chitt Lagaya Karenge
Kanhaiya-Kanhaiya Pukara Karenge.

Banakar Hirday Mein Hum Prem Mandir
Wahin Unko Jhula Jhulaya Karenge
Kanhaiya-Kanhaiya Pukara Karenge.

Unhein Hum Bithavenge Aankhon Mein, Dil Mein,
Unhi Se Saada Lau Lagaya Karenge,
Kanhaiya-Kanhaiya Pukara Karenge.

Jo Ruthenge Humse Woh Banke Bihari
Charn Padh Unhein Hum Manaya Karenge
Kanhaiya-Kanhaiya Pukara Karenge.

Unhein Prem Dori Se Hum Baandh Lenge,
To Fir Who Kahan Bhaag Jaya Karenge
Kanhaiya-Kanhaiya Pukara Karenge.

Unhone Chhudaye The Gajke Woh Bandhan,
Wahi Mera Sankat Mitaya Karenge
Kanhaiya-Kanhaiya Pukara Karenge.

Unhone Nachaye The Brahmand Saare
Magar Ab Unhein Hum Nachaya Karenge
Kanhaiya-Kanhaiya Pukara Karenge.

Bhajenge Jahan Prem Se Nandnandan
Kanhaiya Chhavi Ko Dikhaya Karenge
Kanhaiya-Kanhaiya Pukara Karenge.