Sai Amritvani - Sai Baba Amritvani

Sai Baba Bhajans
Shri Sai Amrit Vani
Namo Namo Paavan Sai, Namo Namo Krupaal Gosain
Sai Amrit Padh Paavan Vani, Sai Naam Dhun Sudha Samaani ||1||
Namo Namo Santan Pratipaala, Namo Namo Shri Sai Dayaala
Param Satya Hai Param Vigyaan, Jyoti Swaroop Sai Bhagwan ||2||
Namo Namo Sai Avinashi, Namo Namo Ghat – Ghat Ke Vaasi
Sai Dhwani Hai Naam Ucchaaran, Sai Ram Sukhsiddhi Kaaran ||3||
Namo Namo Shri Aatma Rama, Namo Namo Prabhu Poorna Kaama
Amrut Vaani Amrut Sai Ram, Sai Ram Mudh Mangal Dhaam ||4||
Sai Naam Mantra Jap Jaap, Sai Naam Metey Trayi Taap
Sai Dhuni Mein Lage Samadhi, Mitey Sab Aadhi Vyaadhi Upaadhi ||5||
Sai Jaap Hai Saral Samadhi, Hare Sab Aadhi Vyaadhi Upaadhi
Riddhi Siddhi Aur Nav Nidhaan, Daata Sai Hai Sab Sukh Khan ||6||
Sai Sai Shri Sai Hari, Mukti Vairagya Ka Yog
Sai Sai Shri Sai Jap, Daata Amrut Bhog ||7||
Jal Thal Vaayu Tej Aakash, Sai Se Paaven Sab Prakash
Jal Aur Pruthvi Sai Ki Maya, Antaheen Antariksh Banaaya ||8||
Neti Neti Kah Ved Bakhaane, Bhed Sai Ka Koi Na Jaane
Sai Naam Hai Sab Ras Saar, Sai Naam Jag Taaran Haar ||9||
Sai Naam Ke Bharo Bhandar, Sai Naam Ka Sadvyavhaar
Ihaan Naam Ki Karo Kamaai, Uhaan Na Hoye Koi Kathinaai ||10||
Jholi Sai Naam Se Bhariye, Sanchit Sai Naam Dhan Kariye
Jude Naam Ka Jab Dhan Maal, Sai Krupa Le Anth Sambhaal ||11||
Sai Sai Padh Shakti Jagaave, Sai Sai Dhun Jabhi Ramaave
Sai Naam Jab Jage Abhang, Chetan Bhaav Jage Sukh Sang ||12||
Bhavna Bhakti Bhare Bhajanik, Bhajte Sai Naam Ramanik
Bhajte Bhakt Bhaav Bharpoor, Bhram Bhay Bhed Bhaav Se Door ||13||
Sai Sai Suguni Jan Gaate, Swar Sangeet Se Sai Rijhaate
Kirtan Katha Karte Vidwaan, Saar Saras Sang Saadhanvaan ||14||
Kaam Krodh Aur Lobh Ye, Teen Paap Ke Mool
Naam Kulhaadi Haath Le, Kar Inko Nirmool ||15||
Sai Naam Hai Sab Sukh Khaan, Anth Kare Sabka Kalyaan
Jeevan Sai Se Preeti Karna, Marna Man Se Sai Na Bisarna ||16||
Sai Bhajan Bin Jeevan Jeena, Aathon Peher Halaahal Peena
Bheetar Sai Ka Roop Samaave, Mastak Par Pratibha Chaa Jaave ||17||
Jab Jab Dhyaan Sai Ka Aave, Rom Rom Pulkith Ho Jaave
Sai Krupa Sooraj Ka Ugna, Hruday Sai Pankaj Ka Khilna ||18||
Sai Naam Mukta Mani, Raakho Sooth Piroye,
Paap Taap Na Rahe, Aatma Darshan Hoye ||19||
Satya Moolak Hai Rachna Saari, Sarva Satya Prabhu Sai Pasaari
Beej Se Taru Makdi Se Taar, Hua Tyon Sai Se Jag Vistaar ||20||
Sai Ka Roop Hruday Mein Dhaaro, Antarman Se Sai Pukaaro
Apne Bhagat Ki Sunkar Ter, Kabhi Na Sai Lagaate Der ||21||
Dheer Veer Man Rahit Vikaar, Tan Se Man Se Kar Upkaar
Sadaa Hi Sai Naam Gun Gaave, Jeevan Mukth Amar Padh Pave ||22||
Sai Bina Sab Neeras Swaad, Jyon Ho Swar Bina Raag Vishaad
Sai Bina Nahin Saje Singaar, Sai Naam Hai Sab Ras Saar ||23||
Sai Pita Sai Hi Maata, Sai Bandhu Sai Hi Bhraata
Sai Jan Jan Mein Man Ranjan, Sai Sab Dukh Dard Vibhanjan ||24||
Sai Naam Deepak Bina, Jan Man Mein Andher
Isiliye He Mam Man, Naam Sumaala Pher ||25||
Japte Sai Naam Maha Maala, Lagta Narak Dwaar Pai Taala
Raakho Sai Par Ik Vishwaas, Sab Taj Karo Sai Ki Aas ||26||
Jab Jab Chadhe Sai Ka Rang, Man Mein Chaaye Prem Umang
Japte Sai Sai Jap Paath, Jalte Karmabandh Yatha Kaath ||27||
Sai Naam Sudha Ras Saagar, Sai Naam Gyaan Guna Aagar
Sai Jaap Ravi Tej Samaan, Maha Moha Tam Hare Agyaan ||28||
Sai Naam Dhun Anhad Naadh, Naam Jape Man Ho Vismaadh
Sai Naam Mukti Ka Daata, Brahmadhaam Vah Khud Pahunchaata ||29||
Haath Se Kariye Sai Ka Kaar, Pag Se Chaliye Sai Ke Dwaar
Mukh Se Sai Sumiran Kariye, Chith Sadaa Chintan Mein Dhariye ||30||
Kaanon Se Yash Sai Ka Suniye, Sai Dhaam Ka Maarg Chuniye
Sai Naam Padh Amrit Vani, Sai Naam Dhun Sudha Samaani ||31||
Aap Japo Auron Ko Japaavo, Sai Dhuni Ko Milkar Gaavo
Sai Naam Ka Sunkar Gaana, Man Almast Bane Diwana ||32||
Pal Pal Uthe Sai Tarang, Chadhe Naam Ka Goodha Rang
Sai Krupa Hai Ucchathar Yog, Sai Krupa Hai Shubh Sanyog ||33||
Sai Krupa Sab Saadhan Marm, Sai Krupa Sanyam Satya Dharm
Sai Naam Man Se Basaana, Supath Sai Krupa Ka Paana ||34||
Man Mein Sai Dhun Jab Firey, Sai Krupa Tab Hi Avatare
Rahoon Main Sai Mein Ho Kar Leen, Jaiese Jal Mein Ho Meen Adeen ||35||
Sai Naam Ko Simariye, Sai Sai Ek Taar
Param Paath Paavan Param, Karta Bhav Se Paar ||36||
Sai Krupa Bharpoor Main Paaoon, Param Prabhu Ko Bheetar Laaoon
Sai Hi Sai Sai Keh Meet, Sai Se Kar Saanchi Prati ||37||
Sai Hi Sai Ka Darshan Kariye, Man Bheetar Ik Aanand Bhariye
Sai Ki Jab Mil Jaaye Shiksha, Fir Man Mein Koi Rahe Na Iccha ||38||
Jab Jab Man Ka Taar Hilega, Tab Tab Sai Ka Pyaar Milega
Mitegi Jag Se Aani Jaani, Jeevan Mukt Hoy Yeh Praani ||39||
Shirdi Ke Sai Hari, Teen Lok Ke Naath
Baba Hamaare Paavan Prabhu, Sadaa Ke Sangi Saath ||40||
Sai Dhuni Jab Pakde Jor, Kheenche Sai Prabhu Apni Oar,
Mandir Mandir Basti Basti, Chha Jaaye Sainaam Ki Masti ||41||
Amritroop Sai Guna Gaan, Amrit Kathan Sai Vyaakhyaan
Amrit Vachan Sai Ki Charcha, Sudha Sam Geet Sai Ki Archa ||42||
Shubh Rasna Vahi Kahaave, Sai Ram Jahaan Naam Suhaave
Shubh Karm Hai Naam Kamaai, Sai Ram Param Sukhdaai ||43||
Jab Ji Chaahe Darshan Paaiye, Jai Jai Kaar Sai Ki Gaaiye
Sai Naam Ki Dhuni Lagaaiye, Sahaj Hi Bhavsaagar Tar Jaaiye ||44||
Baba Ko Jo Bhaje Nirantar, Har Dam Dhyaan Lagaave
Baba Mein Mil Jaaye Anth Mein, Janam Safal Ho Jaave ||45||
Dhanya Dhanya Shri Sai Ujaagar, Dhanya Dhanya Karuna Ke Saagar
Sai Naam Mudh Mangalkaari, Vighna Hare Sab Paathak Haari ||46||
Dhanya Dhanya Shri Sai Hamaare, Dhanya Dhanya Bhaktan Rakhwaare
Sai Naam Shubh Shakun Mahaan, Swasti Shaanti Shivkar Kalyaan ||47||
Dhanya Dhanya Sab Jag Ke Swami, Dhanya Dhanya Shri Sai Namaami
Sai Sai Man Mukh Se Gaana, Maano Madhur Manorath Paana ||48||
Sai Naam Jo Jan Man Laave, Us Mein Shubh Sabhi Bas Jaave
Jahan Ho Sai Naam Dhun Naadh, Bhaage Wahaan Se Visham Vishaadh ||49||
Sai Naam Man Tapth Bujhaave, Sudha Ras Seench Shanti Le Aave
Sai Sai Japiye Kar Bhaav, Suvidha Suvidhi Bane Banaav ||50||
Chhal Kapat Aur Khot Hain, Teen Narak Ke Dwaar
Jhooth Karam Ko Chhodkar, Karo Satya Vyavhaar ||51||
Jap Tap Teerth Gyaan Dhyaan, Sab Mil Nahin Sai Samaan
Sarva Vyaapak Sai Gnyaata, Man Vaanchit Praani Phalpaata ||52||
Jahan Jagat Mein Aavo Jaavo, Sai Sumir Sai Ko Gaavo
Sai Sabhi Mein Ek Samaan, Sab Roop Ko Sai Jaan ||53||
Main Aur Mera Kuch Nahin Apna, Sai Ka Naam Satya Jag Sapna
Itna Jaan Lehu Sab Koye Sai Ko Bhaje Sai Ka Hoye ||54||
Aise Man Jab Hove Leen, Jal Mein Pyaasi Rahe Na Meen
Chith Chadhe Ik Rang Anoop, Chetan Ho Jaaye Sai Swaroop ||55||
Jisme Sai Naam Shubh Jaage, Uske Paap Taap Sab Bhaage
Man Se Sai Naam Jo Ucchare, Uske Bhaage Bhram Bhay Saare ||56||
Sukh – Dukh Teri Den Hai, Sukh – Dukh Mein Tu Aap
Rom – Rom Mein Hey Sai Tu Hi Rahyo Vyaap ||57||
Jai – Jai Sai Sacchidananda, Murli Manohar Paramananda
Paarabrahma Parameshwar Govinda Nirmal Paavan Jyoti Akhanda ||58||
Ekai Ne Sab Khel Rachaaya, Jo Deekhe Who Sab Hai Maaya
Eko Ek Ek Bhagwan, Do Ko Hi Tu Maaya Jaan ||59||
Baahar Bharam Bhoolai Sansaar, Andar Preetam Sai Upaar
Jaako Aap Chaahe Bhagwanth, So Hi Jaane Sai Ananth ||60||
Jis Mein Bas Jaaye Sai Sunaam, Hove Veh Jan Poorna Kaam
Chith Mein Sai Naam Jo Simare, Nishyay Bhav Saagar Se Tarey ||61||
Sai Simran Hove Sahayee, Sai Simran Hai Sukhdayee
Sai Simran Sabse Ooncha, Sai Shakti Sukh Gyaan Samoocha ||62||
Sukh Daata Aapadh Haran, Sai Gareeb Nivaaj
Apne Bacchon Ke Sai Sabhi Sudhaare Kaaj ||63||
Maata Pita Baandhab Suth Dhaara, Dhan Jan Saajan Sakha Pyaara
Anth Kaal De Sake Na Sahara, Sai Naam Tera Taaran Haara ||64||
Aapan Ko Na Maan Sharir, Tab Tu Jaane Par Ki Peedh
Ghat Mein Baba Ko Pehchaan, Karan Karaavan Waala Jaan ||65||
Antaryami Ja Ko Jaan, Ghat Se Dekho Aathon Yaam
Simran Sai Naam Hai Sangi, Sakha Snehi Suhrud Shubh Angi ||66||
Yug Yug Ka Hai Sai Sahela, Sai Bhakt Nahin Rahe Akela
Badha Badi Visham Jab Aave, Vair Virodh Vighna Badh Jaave ||67||
Sai Naam Japiye Sukh Daata, Saccha Saathi Jo Hithkar Traatha
Poonji Sai Naam Ki Paaiye, Paatheya Saath Naam Le Jaaiye ||68||
Sai Jaap Kahin Oonchi Karani, Baadha Vighna Bahu Dukh Harani
Sai Naam Maha Mantra Japna, Hai Suvrut Nem Tap Tapna ||69||
Baba Se Kar Saanchi Preet, Yahi Bhakta Janon Ki Reet
Tu Toh Hai Baba Ka Ang, Jaise Saagar Beech Tarang ||70||
Deen, Dukhi Ke Saamne, Jhukta Jiska Sheesh
Jeevan Bhar Milta Usey, Baba Ka Aashish ||71||
Lene Wale Haath Do, Sai Ke Sau Dwaar
Ek Dwaar Ko Pooj Le, Ho Jaayega Paar ||72||