Kanha Re Thoda Sa Pyaar De - Krishna Bhajan

Krishna Bhajans
Kanha Re Thoda Sa Pyar De, Charno Mein Baitha Ke Taar De
O Gori Ghooghat Utar De, Prem Ki Biksha Jholi Mein Daar De

Teen Gali Mein Aake Gujariyaa
Bhool Gai Re Ghar Ki Dagariyaa
Jab Tak Sadhan Tan Man Jeevan
Sabkuchh Arpan Pyaare Sanwariyaa

Maya Ka Tumne Rang Aisa Daala
Bandhan Mine Bandh Gaya Baandhane Waala
Kaun Rama Pati Kaisa Ishwar
Mai To Hu Gokul Ka Gwaala
Gwaala Re Thoda Sa Pyaar De
Gwaalin Ka Jeevan Sawaar De

Atma Parmata Milan Ka Madhumas Hai
Yahi Maha Ras Hai
Jeewan Ka Swaami Bhakto Ka Daas Hai
Yahi Maha Ras Hai
Krishna Kamaal Hai Radhe Subhash Hai
Yahi Maha Ras Hai
Iske Awalokan Ki Yug Yug Ko Pyaas Hai
Yahi Maha Ras Hai

Kanha Re Thoda Sa Pyar De, Charno Mein Baitha Ke Taar De

Tu Jhootha Vachan Tere Jhoote
Muska Ke Bholi Radha Ko Loote
Mai Bhi Hu Sachcha Vachan Mere Sachche
Preet Meri Pakki Tumhaare Man Kachche
Jaise Tu Rakhkhe Vase Mai Rahungi
Dungi Pariksha Peer Sahungi
Swargo Ke Sukh Na Lungi
Tu Mil Jaye To Moksh Nahi Mangu

Kanha Re Thoda Sa Pyar De, Charno Me Baitha Ke Taar De

Shristi Ke Kan Kan Mein Iska Aabhas Hai
Yahi Maha Ras Hai
Taro Mine Nar Tan Phoolo Mein Ullash Hai
Yahi Maha Ras Hai
Murli Ki Pratidhwani Dishaao Ke Paas Hai
Yahi Maha Ras Hai
Adhyatm Chetna Ka Vikas Hai
Yahi Maha Ras Hai

Kanha Re Thoda Sa Pyar De, Charno Mein Baitha Ke Taar De